Post some Hindi Shayaris..
@sajjadhussaini (108)
India
November 11, 2006 7:06am CST
Zindagi jaise ek sazaa si ho gayi hai,
gham ke sagar mein kuch is kadar kho gayi hai,
tum aajao waapis yeh guzaarish hai meri,
shayad mujhe tumhaari aadat si ho gayi hai .
_____________________________________________________
Aaj woh humse jannat me takra gayi,
Aaj woh humse jannat me takra gayi
aur hamare dil se awaaz nikli...
teri maa ki, tu idhar bhi aa gayi..
_______________________________________________________
Kadam Kadam pe hawa ki disha ka dhyan rakna,
Mushkil samay me bhi dosti ko yaad rakhna,
Hamari yaadon ki khushbu zaroor ayegi,
Tum bas tumhari NAAK saaf rakhna...
1 person likes this
7 responses
@Sanya106 (59)
• India
18 Dec 06
Dard ka ehsaas janna hai to pyar kar ke dekho ,
Apni aaknon mein kisi ko utar kar dekho,
Chot unko lagegi aansoo tumhe aa jayegen,
Yeh ehsaas jan-na ho to dil haar kar dekho
*************************************************
Kisi bhi dard ko hadd se GUZARNAY nahi deta,
Tumhara pyaar mujhe ab BIKHARNAY nahi deta,
Tumhare baad ye dil ZIDDI hogaya hai bohat,
Kisi bhi shakhs ko khud mein UTARNAY nahi deta
*************************************************
Raat mein khayaalon mein aati ho tum
Kabhi saamne aakar bhi dekho
Hum se baatein to roz karte ho tum
Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho
Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaron se samajh kar to dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhara
Kabhi hum say dil laga kar to dekho
Humari baton ne tumhaara dil kahi baar behlaya hai
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar to dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar to dekho
Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho
Hum tumhein zindagi mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho
Tumhein paane ke liye har imtihaan denge hum
Humein kabhi aazmaa kar to dekho
Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnana
Ek baar hamein apna banaa kar to dekho
@rajeevsaxena7 (36)
• India
25 Dec 06
Tamanna foot nikli hai jab mere chak e gareeban se
Unhe bhi ho gayi nafrat mere hall e pareeshan se.
@cheeta_143 (281)
• India
16 Dec 06
Voh Sadak Ke Us Paar Thi Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein.
@sajjadhussaini (108)
• India
16 Dec 06
Wow thatz nice shayari yaar..!! thanks for ur contribution ur shayari a fantastic man...!!
@svijay (92)
• India
11 Nov 06
Dear Shayar, verses are good, but, they are in Urdu, not Hindi. Shayari itself, is a Urdu word
@_Greeneye_ (1526)
• India
28 Dec 06
Tere duvar par sanam hazaar baar aayenge,
tere dvar par sanam hazaar baar aayenge,
ganti bajayenge aur bhaag jayenge.,
--------------------------------------
Har samundar me sahil nahi hota,
her zahaz me misal nahi hote,
agar dhirubhai ka sapna nahi hota to,
her lukkhe ke paas mobile nahi hota.
Log kehte hai pyar mein neend nahi aati
are koi hamse bhi pyar kar lo hame neend bahut aati hai
--------------------------------------
Kal jab rasthe pe ja raha ta to tumko deka
Kal jab rasthe pe ja raha ta to tumko deka
aur socha tum garse mat niklo, tum ghar se mat niklo,
Agar Nikal gayi to ye bedard zamana kahegi
Who let the dogs out...who who who
--------------------------------------
kabhi tumne ye socha hay
kabhi tumne ye dekha hay
k lafzon main
k lafzon se tasaadum kaise hota hay
tabaahi kaise aati hay
wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta'aluq jorrtay hain
dilon main rabt rakhtay hain
or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den
wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain
wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain
bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay
behnen bayn karti hain
pahaarron se jawaan bhai
unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain
to maayn aasmaan sar pe utthaati hain
yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain
farishte kaanp jaatay hain
yahi alfaaz phir ALLAH ki rehmat main ddhalte hain
hamaaray din badalte hain
to phir ye sochna hoga
to phir ye dekhna hoga
k ye alfaaz khud qaatil nahi hotay
k ye alfaaz khud andhay nahi hotay
ye alfaaz khud zaalim nahi hotay
magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain
magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain
baseerat se
diyaanat se
sadaaqat se
muhabbat se
ta'alluq torr lete hain
JO Mujhko........
Dil ki gahraiyon se chahe,
Usaka mujhe intzar hai.
Mere sapno ko sarahe,
Usaka mujhe intzar hai.
Meri Chahat ko samjhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Meri Shararton mein Ulajhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Mere sapano ki galiyaon main Ghoome,
Usaka mujhe intzar hai.
Apane khwabon main mujhe dhoondhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Main jisaki manjil hoon,
Usaka mujhe intzar hai.
Jo mera sahil hai,
Usaka mujhe intzar hai.
Jise wafa ki pahchan ho,
Usaka mujhe intzar hai.
Thoda samajhdar,thoda nadan ho,
Usaka mujhe intzar hai.
Maar hi daal mujhe Chashm-e-Ada se pahle
Apni Manzil ko Pohunch jaoon Qaza se pahle
Ek Nazar Dekh loon aa jao Qaza se pahle
Tum se milne ki Tamanna hai Khuda se pahle
Hashr k Roz mai puchunga Khuda se pahle
Tu ne Roka nahi kyun Mujh ko Khata se pahle
Ae Meri Maut, Thehar Unko Zara ane de
Zehar ka Jaam na de Mujh ko Dawa se pahle
Hath Pohunche b na the Zulf dota tak "Momin"
Hathkari dal di Zalim ne Khata se pahle
@cheeta_143 (281)
• India
16 Dec 06
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi josh ke sath!
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shor ke sath!
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !
@rajeevsaxena7 (36)
• India
16 Dec 06
Aaj is tarha se uski bhooli hui yaad aayi.....
jaise veerane me chupke se bahar aa jaye.....
Jaise sahraao me hole se chale vaad e naseem....
Jaise beemar ko be wajha karaar aa jaye.
------------------------------------------
Mere dil ka kaha mano eak kaam kar do...
Eak benam se mohabat mere naam kar do...
Meri zaat pe fakat itna sa ahsaan kar do..
Ek subha ko milo aur sham kar do.
@cheeta_143 (281)
• India
16 Dec 06
Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"