Shayari.............! Daad Chahunga..........!

India
December 9, 2006 6:37am CST
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi, Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.
2 people like this
7 responses
• India
9 Dec 06
nice one
• India
9 Dec 06
Thanks.......!
@mkakkad (35)
• United States
9 Feb 07
wah boss.. sahi shayari hai...
@_Greeneye_ (1526)
• India
28 Dec 06
Tere duvar par sanam hazaar baar aayenge, tere dvar par sanam hazaar baar aayenge, ganti bajayenge aur bhaag jayenge., -------------------------------------- Har samundar me sahil nahi hota, her zahaz me misal nahi hote, agar dhirubhai ka sapna nahi hota to, her lukkhe ke paas mobile nahi hota. Log kehte hai pyar mein neend nahi aati are koi hamse bhi pyar kar lo hame neend bahut aati hai -------------------------------------- Kal jab rasthe pe ja raha ta to tumko deka Kal jab rasthe pe ja raha ta to tumko deka aur socha tum garse mat niklo, tum ghar se mat niklo, Agar Nikal gayi to ye bedard zamana kahegi Who let the dogs out...who who who -------------------------------------- kabhi tumne ye socha hay kabhi tumne ye dekha hay k lafzon main k lafzon se tasaadum kaise hota hay tabaahi kaise aati hay wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta'aluq jorrtay hain dilon main rabt rakhtay hain or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay behnen bayn karti hain pahaarron se jawaan bhai unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain to maayn aasmaan sar pe utthaati hain yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain farishte kaanp jaatay hain yahi alfaaz phir ALLAH ki rehmat main ddhalte hain hamaaray din badalte hain to phir ye sochna hoga to phir ye dekhna hoga k ye alfaaz khud qaatil nahi hotay k ye alfaaz khud andhay nahi hotay ye alfaaz khud zaalim nahi hotay magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain baseerat se diyaanat se sadaaqat se muhabbat se ta'alluq torr lete hain JO Mujhko........ Dil ki gahraiyon se chahe, Usaka mujhe intzar hai. Mere sapno ko sarahe, Usaka mujhe intzar hai. Meri Chahat ko samjhe, Usaka mujhe intzar hai. Meri Shararton mein Ulajhe, Usaka mujhe intzar hai. Mere sapano ki galiyaon main Ghoome, Usaka mujhe intzar hai. Apane khwabon main mujhe dhoondhe, Usaka mujhe intzar hai. Main jisaki manjil hoon, Usaka mujhe intzar hai. Jo mera sahil hai, Usaka mujhe intzar hai. Jise wafa ki pahchan ho, Usaka mujhe intzar hai. Thoda samajhdar,thoda nadan ho, Usaka mujhe intzar hai. Maar hi daal mujhe Chashm-e-Ada se pahle Apni Manzil ko Pohunch jaoon Qaza se pahle Ek Nazar Dekh loon aa jao Qaza se pahle Tum se milne ki Tamanna hai Khuda se pahle Hashr k Roz mai puchunga Khuda se pahle Tu ne Roka nahi kyun Mujh ko Khata se pahle Ae Meri Maut, Thehar Unko Zara ane de Zehar ka Jaam na de Mujh ko Dawa se pahle Hath Pohunche b na the Zulf dota tak "Momin" Hathkari dal di Zalim ne Khata se pahle
• India
3 Jan 07
Khidki Se Jhank Kar Dekha Toh Sadak Par Koi Nahi Tha, Khidki Se Jhank Kar Dekha Toh Sadak Par Koi Nahi Tha, Aur, Sadak Par Jakar Dekha Toh Khidki Par Koi Nahi Tha,
@vivek6831 (211)
• India
1 Feb 07
Chalate rehte hain k chalna hai Musaafir ka Naseeb Sochte rehte hain k kis Rah-Guzar ke Hum hain
@vivek6831 (211)
• India
1 Feb 07
Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain?
@22651479 (88)
• India
12 Dec 06
v - v
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega Door hone ke baad kaun kise yaad aayega Jee lo ye pal jab humsath hai kal ka kya pata, waqt kahan le jayega Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta, Zeher Dushman se liya nahi ja sakta, Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki us ke bina jiya nahi ja sakta. Mein puchhia khuda nu, Ki ehi teri dunia ve, Jithe pyar di koi keemat nai, Te mohobbat hi saza ve, Ja maari thokar teri dunia noo, Hun asi ni kisi to daran ge, Hun koi ki saanu ruvaega, Asi khud hi bewafa bana ge Kisi ne hume aashiq kaha,Kisi ne hume diwana kaha.... In aankhon me aansu tab aaye,Jab apno ne hume begana kaha.... Dil ki mehfil me ujala kijiye,Ek pyar bhara geet gaaya kijiye.... Zindagi khoobsurat ban jayegi,Apno ke liye thoda waqt nikala kijiye.... Kis dil se unki wafa mangu,Kis pal se unse milne ki taareekh mangu... Mujhe to dar hai unhe kho dene ka,Kis Khuda se unko paane ka naseeb mangu.. Jab tanhai me aapki yaad aati hai,Hontho pe ek hi fariyad aati hai... Khuda aapko har khushi de,Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai... Log samajhte hain humne unhe bhula rakha hai,Woh kya jaane dil me chupa rakha hai... Dekhe na koi unhe meri aankhon me.Isliye palkon ko gira rakha hai.... Apni woh mulaqat kuch adhuri si lagi,Paas ho ke bhi thodi duri si lagi... Hontho pe hasi aankhon me majboori si lagi,Zindagi me pehli baar kisi ki duri si lagi.. Tere hote hue bhi tenhai mili hai,Wafa kar ke bhi bewafai mili hai.... Jitni dua ki tumhe paane ki.Us se jyada judai mili hai.... Ek pyar karne wale ne Duniya ko sochne par majbur kar rakha.... Bana ke TAJMAHAL usne Mohabbat ka naam amar kar rakha.... Unko pyar karne ka hisab na aayega,Meri kisi bhi baat ka jawab na aayega... Hum to jagte rahenge unke hi khayaalon me,Aur unko so kar bhi hamara khawab na aayega... Khuda ne jab ishq banaya hoga, to khud bhi zaroor ajmaya hoga, Hamari to aukaat hi kya hai, Is ishq ne khuda ko bhi zaroor rulaya hoga. Har subha ko ek kiran ki talash hoti hai. Har sham ko ek chand ki aas hoti hai. Chand aur suraj ki shakl roti saman hoti hai, Jiski har gareeb ko pyaas hoti hai.. pyar mien humne kya paya, kabhi khud roye to kabhi aap ko rulaya, zulm pe zulm karti gayi duniya, aur ek main tha jo uff bhi na kar paya Waqt ke saath halaat badal jaate hain,Apno tak ke khayalaat badal jaate hain... Jab bura waqt aata hai pyare,Khud apne hi jazbaat badal jaate hain... Saans lene se bhi teri yaad aati hai,Na lene se meri jaan jati hai... Kaise kahu ki sirf saans se main zinda hoon,Jabki saans se pehle teri yaad aati hai.... Mere dost pehle sher sunate hain,Phir puchte hain tujhe ye kaha se milte hain... Unka bhi dil meri tarah tuta hua ho to,Unhe pata chale yeh to tanhaiyon se milte hain... Kabhi to sab jaane pehchane lagte hain,Kabhi to apne bhi begane lagte hain... Woh hume chod gaye to ehsaas hua,Kabhi kabhi kisi ko samjhne me zamane lagte hain... Tamanna hai ki unko najdik se dekhein,Najdik ho to nazar uthayi nahi jaati... Yeh ishq ki ag hi aisi hai,Lag jaati hai lagayi nahi jaati...... mehak mohabbat ki kabhi kam na hogi....zindagi mohabbat se kabhi kam na hogi....saath jo zindagi main agar aaap ka ho....to zindagi ""JANNAT"" se kam na hogi!!!!"""""""" """"""""Yeh raate itni tanha kyon hoti hai, sabko apne kismat se shikayat kyo hoti hai, yeh kismat bhi ajeeb khel khelti hai, jise hum paa nahi sakte usi se hume muhabbat kyon hoti hai."""""""" """"""""Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai.."""""""" """"""""Tum dil ko bekrar kyo nahi karte, Meri mohabbat par atbar kyo nahi karte, Jee nahi sakta hoke juda tumse, Lekin tum to mohabbat ka izhaar nahi karte..."""""""" """"""""vaadon par wo aitbar nahi karte, hum zikre mohabbat sare bazar nai karte,darta hai dil unki rusvaai se aur woh sochte hai ki hum unhe pyar nahi karte"""""""" """"""""Har Khushi kam hai, Tera Ghum Bholane Ke Liye, Ek Tera Hi Ghum Bus Hai, Zindagi Bher Rulane Ke Liye"""""""" """"""""Ae Dil-e-Nadan tujhe hua kya hai,Aakhir is dard ki dawa kya hai.... Hum ko unse hai wafa ki ummed,Jo nahi jaante ki wafa kya hai...."""""""" """"""""sooch raha huin jabab kya bhenju, aap jesse saaks ko khitab kya bheju, koi phool ho to kya kahe, jo khud Gulab ho use gulab kya bhejun..."""""""" """"""""Arz Hai!!!Tum mujhe bhul na paoge,Is kadar hum tumhe yaad aayenge... Yakeen na aaye to aaine me dekhna,Teri aankhon me hum nazar aayenge...."""""""" """"""""Hum to yu hi bekhudi me keh baithe ki hume koi yaad nahi karta... Jis ka ho tere jaisa dost woh kabhi Khuda se bhi fariyaad nahi karta...."""""""" """"""""Ek hi tamanna hai is fakir ke paas,Meri tasvir lagana apni tasvir ke paas... Taki dekhe to log kahe,Dekho Raanjha kaise baitha hai apni Heer ke paas..."""""""" """"""""Zikar hua jab Khuda ki rehmaton ka,Hamne khud ko khushnaseeb paya.... Tamanna thi ek pyare se dost ki,Khuda khud dost bankar chala aaya...."""""""" """"""""Manzil unhi ko milti hai,Jinke sapno me jaan hoti hai.... Pankh se kuchh nahi hota,Hoslo se udaan hoti hai...."""""""" """"""""Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,Kaano me gunjti shahnai si lagti hai... Aap karib ho to apnapan hai,Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai...."""""""" """"""""Na kabhi yeh chupaya ki pyar kitna hai,Na kabhi yeh jataya ki dard kitna hai... Bas ek hame aur us Khuda ko malum hai ki aapse mulaqat ka intezar kitna hai..."""""""""""" """" """"""""need apni bhula ker sulaya humko,Ansu apne gira kar hasaya humko,Dard kabhi na dena uss khuda ki tasveer ko.. Zamana kehta hai Maa Baap Jinko..""""