Drop in & Leave a Shayari
By coolangel
@coolangel (109)
India
December 14, 2006 10:03am CST
I love collecting shayaries. If you have any interesting one, just write it down here. Today I have collected many shayaries from different sources & this one I liked the most, but its not the basic kind of shayary. Its like little humour mixed...
Tussi bade gr8 ho,
Rasgulle ki pl8 ho,
Pepsi ka cr8 ho,
Ande ka oml8 ho,
SMS karne me bade le8 ho,
Kher jo bhi ho mere fever8 ho...!
1 person likes this
11 responses
@magic1982 (58)
• India
11 Jun 08
aaj phir aankhein tumahari bhi chamak jayegi
aaj phir baatein tumahari bhi tadap jayegi
kio to aayega mahfil mein naya josh lekar
aaj phir ratein tumhari bhi machal jayegi
aaj ko aaj hi rakh lena sambhal yaadon mai
aaj ko aah ki raah, sang aapne utha le jayege
pareshan hone se milte nahi, kabhi milne wale
aaj ko chah ki daah, rang aapne laga jayegi
aaj tum mujhko samjh lo, ki mein milta rahuga
aaj gum sapne samajh lo, ki badliyan phir aayegi
yah ek dastan nahi, toofan hai machalate dil ka
aaj ghoom khud samet kar,sadayein meri tadpayein
Teri aadat si ho gayi thi
dil ki tu rahar si ho gayi thi
teri judaayi na manjur thi kabhi
mere Ejhar-e-ishaq ki mujhe hamesha gham rahegi
tujhse na kah pane ki saza rahegi
sabak meri baaton mein nahi jindagi mein rahegi
tere wafa ko salam, judai se khafa rahegi
Mujah ek baar kah do baas
Tumhain mujhse mohhabat hein
main sari umar ki apni mohhabat ka
sila is ko samajh lunga
yeh badi zindagi saari betani ko
mohabbat ka bo ek lamha hi kafi hai
k lamhe tumhe izhar karna hai
tum ne sadiyoun sai us lamhe ko chun laina
main is lamhai main sadiyoun ko samoon dounga
Mujhhe lagta hai aisa kabhi kabhi, jaisey vo ajnabi larki
Mujhse Pyaar karti hai, Mujhse Chhahati Hai
Akser Yunhi Chup Chup ker Dekhti hai, jaane kya soch kar
Nazerin chura jati hai, kuch ghabra si jati hai
apney aanchal ko hawaooh ka Zoor,per lahrahi hai
Mehsoos mujhe ye hota hai K,
Shayad vo mujhe bahut Chahti hai
Mujhse Aisa Ahsas Dilati Hai Jesay,
Woh mujhse kucch kahna Chahti hai
Mere puhuchane per kuch sharma si jati hai,
Kuch Gabra si jati hai
Suniye kah kar bhag jati hai
ajnabi larki shayad pyar karti hai MIR sey
Aisa Mahsoos haota hai, Jane kyo mujhe
Dil bhi kitana pagar hai, Kiya kiya sochta hai
Kuchh Massoom Sey Jajbe hai
Kuchh Un dekhe sapne hai
Magar vo nahi janti MIR...!!!!!!!
Meri zindagi hai vo
Taskeen se dil ko hoti hai, Jab mazi ke Yaad aati hai
Ehsas Judai ka hota hai, Jab sari duniya soti hai
Jub sin mein Suraj hota hai, Jub raat mein chand hota hai
Is waquat Mujhey yaad atey ho,Is waqat mujhse yaad atey ho, is waquat mujhe tadapate ho.
@jayalaksmi (1039)
• India
10 Aug 07
Dost ek sahil hai tufaano ke liye
Dost ek aaina hai aarmano ke liye
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye
Dosti ek khawaahish hai
Aap jese dost ko pane ke liye!!!
I am going to create a website for shayri and when i will finish creating it i will inform it.
@_Greeneye_ (1526)
• India
28 Dec 06
Tere duvar par sanam hazaar baar aayenge,
tere dvar par sanam hazaar baar aayenge,
ganti bajayenge aur bhaag jayenge.,
--------------------------------------
Har samundar me sahil nahi hota,
her zahaz me misal nahi hote,
agar dhirubhai ka sapna nahi hota to,
her lukkhe ke paas mobile nahi hota.
Log kehte hai pyar mein neend nahi aati
are koi hamse bhi pyar kar lo hame neend bahut aati hai
--------------------------------------
Kal jab rasthe pe ja raha ta to tumko deka
Kal jab rasthe pe ja raha ta to tumko deka
aur socha tum garse mat niklo, tum ghar se mat niklo,
Agar Nikal gayi to ye bedard zamana kahegi
Who let the dogs out...who who who
--------------------------------------
kabhi tumne ye socha hay
kabhi tumne ye dekha hay
k lafzon main
k lafzon se tasaadum kaise hota hay
tabaahi kaise aati hay
wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta'aluq jorrtay hain
dilon main rabt rakhtay hain
or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den
wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain
wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain
bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay
behnen bayn karti hain
pahaarron se jawaan bhai
unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain
to maayn aasmaan sar pe utthaati hain
yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain
farishte kaanp jaatay hain
yahi alfaaz phir ALLAH ki rehmat main ddhalte hain
hamaaray din badalte hain
to phir ye sochna hoga
to phir ye dekhna hoga
k ye alfaaz khud qaatil nahi hotay
k ye alfaaz khud andhay nahi hotay
ye alfaaz khud zaalim nahi hotay
magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain
magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain
baseerat se
diyaanat se
sadaaqat se
muhabbat se
ta'alluq torr lete hain
JO Mujhko........
Dil ki gahraiyon se chahe,
Usaka mujhe intzar hai.
Mere sapno ko sarahe,
Usaka mujhe intzar hai.
Meri Chahat ko samjhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Meri Shararton mein Ulajhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Mere sapano ki galiyaon main Ghoome,
Usaka mujhe intzar hai.
Apane khwabon main mujhe dhoondhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Main jisaki manjil hoon,
Usaka mujhe intzar hai.
Jo mera sahil hai,
Usaka mujhe intzar hai.
Jise wafa ki pahchan ho,
Usaka mujhe intzar hai.
Thoda samajhdar,thoda nadan ho,
Usaka mujhe intzar hai.
Maar hi daal mujhe Chashm-e-Ada se pahle
Apni Manzil ko Pohunch jaoon Qaza se pahle
Ek Nazar Dekh loon aa jao Qaza se pahle
Tum se milne ki Tamanna hai Khuda se pahle
Hashr k Roz mai puchunga Khuda se pahle
Tu ne Roka nahi kyun Mujh ko Khata se pahle
Ae Meri Maut, Thehar Unko Zara ane de
Zehar ka Jaam na de Mujh ko Dawa se pahle
Hath Pohunche b na the Zulf dota tak "Momin"
Hathkari dal di Zalim ne Khata se pahle
@deshabhishek007 (919)
• India
28 Dec 06
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega Door hone ke baad kaun kise yaad aayega Jee lo ye pal jab humsath hai kal ka kya pata, waqt kahan le jayega … Pyaar Ise Kehte Hain Jawani ko zindage ki nikhaar kehte hain, pathjad ko chaman ka majdhaar kehte hain, Ajeeb chalan hain duniya ka yaaro, Ek Dhoka hain Jise hum sab “PYAAR” kehte hain ! .........Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta, Zeher Dushman se liya nahi ja sakta, Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki us ke bina jiya nahi ja sakta.
@vivek6831 (211)
• India
1 Feb 07
Pehle her Cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mai kisi Dusre Ghar ke Hum hain
@rahulkhanna (22)
• India
3 Feb 07
i too have the same interest.But i require a source.could u please give me some websites.
@desai_me (275)
• India
28 Dec 06
These r my all time favs :
Woh nadiyan nahi aansu they mere, jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri, isliye hum aansu bahate rahe.
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum, Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
Ye pyari nigahein yaad rahengi, milkar na milne ki ada yaad rahegi, mumkin nahi ki main tumhe bhula dun, aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi.
Na jaane tum pe itna yakin kyon hai? Tera khayal bhi itna haseen kyon hai? Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai; to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai?
Sabhi ko sabh kuch nahi milta, nadi ki har lehar ko sahil nahi milta, yeh dil walon ki dunia hai dost, kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.
Maut Mangte Hai To Zindagi Khafa Ho Jati Hai, Zehr Pite Hai To Woh Bi Dawa Ho Jata Hai,Tu Bata Mere DOST Kya Kare Jisko Bi Chahe BEWAFA Ho Jata Hai.
Majburi kya thi unhone batayi to hoti,judai ki Baat yu sunaayi na hoti..
apne kabar ki mitti bhi de dete unhe,MERE MAUT ki khwaish jatayi to hoti..
@rajeevsaxena7 (36)
• India
16 Dec 06
Koi patthar se na mare mere deewane ko
Koi patthar se na mare mere deewane ko
Are A K 47 ka zamana hai, usi se uda do saale ko.
-------------------------------------------
Tumko dekha to ye khayaal aaya
Paaglo ke stock me naya maal aaya.
@deshabhishek007 (919)
• India
26 Dec 06
Ek Larki Ko Dekha To Aisa Laga
Doosri Larki Ko Dekha To Vaisa Laga
Jab Dono Ne Joote Maarey...To Ek Jaisa Laga!!!
Woh Larki Kitni Pyaari Thi,
Jis Ko Aankh Maari Thi
Woh Sendal Kitni Bhaari Thi,
Jo Us Ney Sar Per Maari Thi
Ek yug the jab log apne
ghar ke dwar par
likhte the "Atithi Devo Bhav".
Phir likhne lage "Shubh Labh"
Phir "U R WELCOME"
Aur ab likthe hain
"Kutton Se Saawdhaan"!
D proffessor of a business school asks,
"What is d most important source of
finance for starting business?"
A student replies,"Father-in-law"
Khat likh raha hoon khoon se,
syahi mat samajhna.
Khat likh raha hoon khoon se
syahi mat samajhna.
Kisi mariz ka sample liya tha,
mera mat samajhna.
wo shayad ab bhi hame chahte hain,
tabhi to hame dekhkar yun muskurate hain.
Ye to uske bacchhe hi kameene hain,
jo hame MAMA-MAMA bulate hain
@shedii (1486)
• India
24 Dec 06
I got these as SMS on my mobile,
Mein ek sher sunati hoon dhyan se suno,
mein ek sher sunati hoon dhyan se suno,
mein ek sher sunati hoon dhyan se suno,
mujhe nahi aata kisi aur se suno!!
jo jale woh aag hai,
jo bachjaye woh raakh hai,
jo tere paas nahi woh dimag hai!!
@whitematter (501)
• India
25 Dec 06
want shayari then read few of them
Aaye na tumha bhale yaad hamari, Hum hamesha karenge fariyad tumhari,Bewafa the tum, Na kahenge kissise kabhi, Kehenge ki shayad kami thi wafe meri hamari.
Apne dil ki baat hum unse keh nahi sakte, bin kahe bhi jee nahi sakte,Aa khuda aisi takadir bana wo khud aakar kahe Hum AApke banaa reh nahi sakte.....
is shehare namuraad ki izzat karega kaun ham hi chale gaye to mohabbat karega kaun is ghar ki dekh bhaal ko viraaniyan to hoon jaale hata diye to hifazat karega kaun