Only for u

India
December 21, 2006 7:51am CST
) Nasha jaruri hai zindagi k liye,par sirf sharab hi nahi hai bekhudi k liye, kisi ki mast nigahon me doob ja ae dost, bada hasi samundar hai khudkushi ke liye. 2) Na kashti hai na kinara hai koi, na manzil na sahara hai koi, na ansu hai na kushi ka ishara hai koi, par aap hai to lagta hai hamara hai koi. 3) Bhula na sako ge mujhe bhool kar tum, mai aksar tumhe yaad aata rahunga. Kabhi khwab ban kar kabhi yaad ban kar, mai ninde tumhari churata rahunga. 4) Dekho aawaz dekar, paas hamme paoge, aaoge tanha par tanha na jaoge, dur rahkar bhi tumhi par hai nazar meri, hathon se tham lenge jab bhi thokar khaoge 5) Pucho na us kagaz se jis pe hum dil ke bayan likhte hai.Tanhayi me beeti baate tamam likhte hai.Woh Kalam bhi diwani ho gayi jis se hum AAP ka Naam likhte hai 6) Wo kahin b rahen sar pe uske ilzaam to hai,uske hathon ki lakiron me mera naam to hai,wo mujhe apna banaye ya na banaye zamane me mere naam se woh badnam to hai 7) Na Misaal milegi Tere Husn ke iss Kayanat me,tu itni kashish bhari Khoobsorti kahanse Le aye hai Labo pe Maikhane, Ankhome Paymane, khuda Jane Aaj kis kiski Shammat Aye Hai 8) Dekh k logo ko,socha ishq hum b karle phir bewafao ko dekh socha, thoda sabrr karle jaan gawante dekh is daldal me kaio ko, socha patli gali se hum nikal le. 9) Aap itna yaad na karo hum ko, kahi hum chheenko se pareshan na ho jaye. Yaad to hum bhi aapko bahut karte hain, Par darte hain, ke kahi aapko zukaam na ho jaye 10) Apne dilki bat unse keh nahi sakte,Bin kahe bhi ji nahi sakte'Ae Khuda aisi takdir bana,wo humse khud akar kahe'HUM' Apk bina Reh nahi sakte.
2 responses
• Japan
21 Dec 06
wahat u want to discuss about it ???its just some kinds of poem, sayari.....
@emanusimo (125)
• Italy
21 Dec 06
i think that you must post in english ,on right?? not in indian...